chalo achchha hai kaam se lage hum
chalo achchhā hai kaam se lage ham
phir vahī phuul dekhne lage ham
us bulandī se dekhte parbat
tere dariyā meñ Dūbne lage ham
in rutoñ ko agar vo lauTā de
jin rutoñ meñ hare-bhare lage ham
aks to aa.ine meñ TuuTā thā
dil ke TukḌoñ ko joḌne lage ham
jab kahānī ko niiñd aane lagī
isti.āroñ meñ jāgne lage ham
der tak duur tak talāsh kiyā
phir tirā naam bhūlne lage ham
chalo achchha hai kaam se lage hum
phir wahi phul dekhne lage hum
us bulandi se dekhte parbat
tere dariya mein Dubne lage hum
in ruton ko agar wo lauTa de
jin ruton mein hare-bhare lage hum
aks to aaine mein TuTa tha
dil ke TukDon ko joDne lage hum
jab kahani ko nind aane lagi
istiaron mein jagne lage hum
der tak dur tak talash kiya
phir tera nam bhulne lage hum
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 59)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.