chalo chal kar wahin par baiThte hain
chalo chal kar vahīñ par baiThte haiñ
jahāñ par sab barābar baiThte haiñ
na jaane kyuuñ ghuTan sī ho rahī hai
badan se chal ke bāhar baiThte haiñ
hamārī haar kā elaan hogā
agar ham log thak kar baiThte haiñ
tumhāre saath meñ guzre hue pal
hamāre saath shab bhar baiThte haiñ
batāo kis liye haiñ narm sofe
qalandar to zamīñ par baiThte haiñ
tumhārī be-hisī batlā rahī hai
hamāre saath patthar baiThte haiñ
chalo chal kar wahin par baiThte hain
jahan par sab barabar baiThte hain
na jaane kyun ghuTan si ho rahi hai
badan se chal ke bahar baiThte hain
hamari haar ka elan hoga
agar hum log thak kar baiThte hain
tumhaare sath mein guzre hue pal
hamare sath shab bhar baiThte hain
batao kis liye hain narm sofe
qalandar to zamin par baiThte hain
tumhaari be-hisi batla rahi hai
hamare sath patthar baiThte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.