chalo hum mein wafadari nahin hai
chalo ham meñ vafādārī nahīñ hai
magar kyā tum meñ ġhaddārī nahīñ hai
tumhārā jhuk ke milnā har kisī se
batāo kyā adākārī nahīñ hai
koī munsif mujhe kyūñkar milegā
mirā andāz darbārī nahīñ hai
baḌā hī nek hai vo pārsā bhī
faqat us meñ milan-sārī nahīñ hai
hiqārat se zamāna dekhtā hai
vajah ye hai ki sardārī nahīñ hai
khule dil kā hai sach kahtā hai aksar
zarā bhī us meñ hushyārī nahīñ hai
chamakne do sitāroñ ko falak par
abhī to 'shams' kī baarī nahīñ hai
chalo hum mein wafadari nahin hai
magar kya tum mein ghaddari nahin hai
tumhaara jhuk ke milna har kisi se
batao kya adakari nahin hai
koi munsif mujhe kyunkar milega
mera andaz darbari nahin hai
baDa hi nek hai wo parsa bhi
faqat us mein milan-sari nahin hai
hiqarat se zamana dekhta hai
wajah ye hai ki sardari nahin hai
khule dil ka hai sach kahta hai aksar
zara bhi us mein hushyari nahin hai
chamakne do sitaron ko falak par
abhi to 'shams' ki bari nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.