chalo ek bar ho jate hain phir sairab tum se hum
chalo ik baar ho jaate haiñ phir sairāb tum se ham
chalo phir sīkhte haiñ ishq ke ādāb tum se ham
chalo phir zindagī ghuT ghuT ke jiinā band karte haiñ
chalo milte haiñ le kar phir dil-e-be-tāb tum se ham
chalo ham baat karte karte karte haiñ saverā phir
chalo phir rāt-bhar khāte haiñ pech-o-tāb tum se ham
chalo phir se guzāreñ raat donoñ āñkhoñ āñkhoñ meñ
chalo phir se churāte haiñ tumhāre ḳhvāb tum se ham
chalo phir dekhte rahte haiñ ham ik dūsre ko bas
chalo phir pūchhte haiñ chup ke sab asbāb tum se ham
chalo phir tum se ham karte haiñ zid ā.īna banñe kī
chalo phir karte haiñ ḳhud ko zarā shādāb tum se ham
chalo 'shāhid' ko baḳhshā hai agar kuchh hausla tum ne
chalo hote raheñge ab mohabbat-yāb tum se ham
chalo ek bar ho jate hain phir sairab tum se hum
chalo phir sikhte hain ishq ke aadab tum se hum
chalo phir zindagi ghuT ghuT ke jina band karte hain
chalo milte hain le kar phir dil-e-be-tab tum se hum
chalo hum baat karte karte karte hain sawera phir
chalo phir raat-bhar khate hain pech-o-tab tum se hum
chalo phir se guzaren raat donon aankhon aankhon mein
chalo phir se churaate hain tumhaare KHwab tum se hum
chalo phir dekhte rahte hain hum ek dusre ko bas
chalo phir puchhte hain chup ke sab asbab tum se hum
chalo phir tum se hum karte hain zid aaina banne ki
chalo phir karte hain KHud ko zara shadab tum se hum
chalo 'shahid' ko baKHsha hai agar kuchh hausla tum ne
chalo hote rahenge ab mohabbat-yab tum se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.