chalo ke mil ke badal dete hain samajon ko
chalo ke mil ke badal dete haiñ samājoñ ko
miTā deñ saare zamāne ke bad rivājoñ ko
faqat diloñ ko milāne se kuchh nahīñ hotā
banegī baat milāoge jab mizājoñ ko
saroñ kī bhiiḌ to aksar machā.e hañgāma
sañvāro soch se tum apne ehtijājoñ ko
sunā hai hañsne se chehre pe nuur aatā hai
kahāñ se puurā kareñ itnī ehtijājoñ ko
nahīñ rahe vo hasīñ mai-kadoñ ke jalve ab
chalo ki DhūñDheñ ġhamoñ ke na.e ilājoñ ko
chalo ke mil ke badal dete hain samajon ko
miTa den sare zamane ke bad riwajon ko
faqat dilon ko milane se kuchh nahin hota
banegi baat milaoge jab mizajon ko
saron ki bhiD to aksar machae hangama
sanwaro soch se tum apne ehtijajon ko
suna hai hansne se chehre pe nur aata hai
kahan se pura karen itni ehtijajon ko
nahin rahe wo hasin mai-kadon ke jalwe ab
chalo ki DhunDhen ghamon ke nae ilajon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.