chalo ki dasht ki gumnamiyon mein nam karen
chalo ki dasht kī gumnāmiyoñ meñ naam kareñ
uḌā.eñ ḳhāk-e-badan aur dhūm-dhām kareñ
tire ḳhayāl meñ aadhī to kaaT dī ham ne
zarā sī 'umr bachī hai to koī kaam kareñ
ye raat sub.h meñ tabdīl hone vaalī hai
sab apnī apnī kahānī kā iḳhtitām kareñ
chalo ki dasht ki gumnamiyon mein nam karen
uDaen KHak-e-badan aur dhum-dham karen
tere KHayal mein aadhi to kaT di hum ne
zara si 'umr bachi hai to koi kaam karen
ye raat subh mein tabdil hone wali hai
sab apni apni kahani ka iKHtitam karen
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 102)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 99)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.