chalo pi len ki yar aae na aae
chalo pī leñ ki yaar aa.e na aa.e
ye mausam baar baar aa.e na aa.e
ham us kī raah dekheñge hamesha
vo jān-e-intizār aa.e na aa.e
ye sochā hai ki us ko bhuul jaa.eñ
ab is dil ko qarār aa.e na aa.e
gulāboñ kī tarah tum taaza rahnā
zamāne meñ bahār aa.e na aa.e
'zamīr' is zindagī se kyoñ ḳhafā ho
use phir tum pe pyaar aa.e na aa.e
chalo pi len ki yar aae na aae
ye mausam bar bar aae na aae
hum us ki rah dekhenge hamesha
wo jaan-e-intizar aae na aae
ye socha hai ki us ko bhul jaen
ab is dil ko qarar aae na aae
gulabon ki tarah tum taza rahna
zamane mein bahaar aae na aae
'zamir' is zindagi se kyon KHafa ho
use phir tum pe pyar aae na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.