chalo sab bandh len asbab phir se
chalo sab bāñdh leñ asbāb phir se
mabādā gher le sailāb phir se
koī manzar na phir be-nūr kar de
ye āñkheñ dekhtī haiñ ḳhvāb phir se
mohabbat meñ ḳhasāra baḌh gayā hai
vafā.eñ ho ga.iiñ kamyāb phir se
namī ke lams ko tarsā huā huuñ
koī kar de mujhe sairāb phir se
tirī bechainiyāñ batlā rahī haiñ
ki hai tūfāñ meñ shahr-e-ḳhvāb phir se
mirā sach bolnā bhī jurm Thahrā
gurezāñ haiñ mire ahbāb phir se
jinheñ bhūle zamāna ho gayā hai
likheñ chāhat ke vo abvāb phir se
chalo sab bandh len asbab phir se
mabaada gher le sailab phir se
koi manzar na phir be-nur kar de
ye aankhen dekhti hain KHwab phir se
mohabbat mein KHasara baDh gaya hai
wafaen ho gain kamyab phir se
nami ke lams ko tarsa hua hun
koi kar de mujhe sairab phir se
teri bechainiyan batla rahi hain
ki hai tufan mein shahr-e-KHwab phir se
mera sach bolna bhi jurm Thahra
gurezan hain mere ahbab phir se
jinhen bhule zamana ho gaya hai
likhen chahat ke wo abwab phir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.