chalo tum bhi muqaddar aazma lo
chalo tum bhī muqaddar aazmā lo
hamāre naam kā sikka uchhālo
maiñ apne aap meñ dhañsne lagī huuñ
mujhe merī hī daldal se nikālo
guhar kam haiñ ḳhazaf-reze ziyāda
abhī kuchh aur dariyā ko khañgālo
chalo karte haiñ tajdīd-e-ta.alluq
purānī ranjishoñ par ḳhaak Daalo
mirā maazī mire dar par khaḌā hai
mujhe tum apne dāman meñ chhupā lo
bahut mushkil ghaḌī aa.ī huī hai
ghaḌī kī suuī ko aa kar sambhālo
tumhāre saath jiinā chāhtī huuñ
mujhe be-maut marne se bachā lo
bujhā sakte nahīñ ho aag jab tum
kam-az-kam aag meñ ghī to na Daalo
ta.assub kā dhuāñ dam ghoTtā hai
kahāñ mar-khap ga.e raushan ḳhayālo
tavajjoh chāhiye tum ko jo 'raḳhshāñ'
kabhī tum bhī kisī ko ghaas Daalo
chalo tum bhi muqaddar aazma lo
hamare nam ka sikka uchhaalo
main apne aap mein dhansne lagi hun
mujhe meri hi daldal se nikalo
guhar kam hain KHazaf-reze ziyaada
abhi kuchh aur dariya ko khangalo
chalo karte hain tajdid-e-talluq
purani ranjishon par KHak Dalo
mera mazi mere dar par khaDa hai
mujhe tum apne daman mein chhupa lo
bahut mushkil ghaDi aai hui hai
ghaDi ki sui ko aa kar sambhaalo
tumhaare sath jina chahti hun
mujhe be-maut marne se bacha lo
bujha sakte nahin ho aag jab tum
kam-az-kam aag mein ghi to na Dalo
tassub ka dhuan dam ghoTta hai
kahan mar-khap gae raushan KHayalo
tawajjoh chahiye tum ko jo 'raKHshan'
kabhi tum bhi kisi ko ghas Dalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.