chalo ye bhi apna hi jurm hai ye gunah bhi mere sar gae
chalo ye bhī apnā hī jurm hai ye gunāh bhī mire sar ga.e
maiñ na chal sakā to Thahar gayā vo guzar sake to guzar ga.e
vahī sā.ateñ haiñ faroġh-e-jāñ mirī rāh-e-shauq meñ aaj bhī
mirī manziloñ ke nasīb jab tire naqsh-e-pā se sañvar ga.e
vahī marhale mirī yaad haiñ vahī mashġhale mirā ḳhvāb haiñ
shab-o-roz jab tire gesuoñ tire ārizoñ meñ Thahar ga.e
vo nadī kā sāhil-e-dilrubā hameñ yaad sab hai zarā zarā
tire ruḳh pe jab mirī ik talab pe shafaq ke rang bikhar ga.e
maiñ jo chup rahā to ye baat thī ki kisī kā raaz na khul sake
maiñ jo ro paḌā to ye raaz thā ki mirī vafā se vo Dar ga.e
maiñ kahāñ huuñ sāġhar-e-mai kahāñ shab-e-māh kyoñ hai dhuāñ dhuāñ
ye batā ḳhumār-e-sahar-gahī mire aql-o-hosh kidhar ga.e
chalo ye bhi apna hi jurm hai ye gunah bhi mere sar gae
main na chal saka to Thahar gaya wo guzar sake to guzar gae
wahi saaten hain farogh-e-jaan meri rah-e-shauq mein aaj bhi
meri manzilon ke nasib jab tere naqsh-e-pa se sanwar gae
wahi marhale meri yaad hain wahi mashghale mera KHwab hain
shab-o-roz jab tere gesuon tere aarizon mein Thahar gae
wo nadi ka sahil-e-dilruba hamein yaad sab hai zara zara
tere ruKH pe jab meri ek talab pe shafaq ke rang bikhar gae
main jo chup raha to ye baat thi ki kisi ka raaz na khul sake
main jo ro paDa to ye raaz tha ki meri wafa se wo Dar gae
main kahan hun saghar-e-mai kahan shab-e-mah kyon hai dhuan dhuan
ye bata KHumar-e-sahar-gahi mere aql-o-hosh kidhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.