chalta hai aaftab ka daur us qamar ke sath
chalta hai aaftab ka daur us qamar ke sath
Nawab Umrao Bahadur Diler
MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler
chaltā hai āftāb kā daur us qamar ke saath
ham aib bhī jo karte haiñ to ik hunar ke saath
kyūñkar kisī ke roz-e-jazā chhup sakeñge jurm
ḳhufya-navīs do-do haiñ har ik bashar ke saath
rakh lenā yā ḳhudā mirī tar-dāmanī kī sharm
bādal baraste aa.eñ duā ke asar ke saath
in rozoñ ḳhāndāñ ko koī pūchhtā nahīñ
izzat hai aadmī kī bas ab sīm-o-zar ke saath
hāthoñ meñ chāhte ho hinā kā jo shoḳh-rang
mehñdī ko piis lo mire zaḳhm-e-jigar ke saath
baaqī ḳhumār raat kā ab tak hai sāqiyā
gardish meñ jaam bhī rahe daurān-e-sar ke saath
fazl-e-ḳhudā kā dekhnā vaa.iz ki roz-e-hashr
jannat meñ ham bhī jā.eñge ḳhairul-bashar ke saath
ḳhat de ke nāma-bar ko ye kahtā hai shauq-e-dil
achchhā to hai ki ḳhud bhī chalūñ nāma-bar ke saath
bachnā dil-o-jigar kā butoñ se muhāl hai
tīr-e-mizha bhī chalte haiñ teġh-e-nazar ke saath
afsos ab kisī kā koī qadr-dāñ nahīñ
jauhar-shanās uTh ga.e ahl-e-hunar ke saath
karte na ham kisī kī itā.at kabhī 'diler'
māshūq ham ko milte agar zor-o-zar ke saath
chalta hai aaftab ka daur us qamar ke sath
hum aib bhi jo karte hain to ek hunar ke sath
kyunkar kisi ke roz-e-jaza chhup sakenge jurm
KHufya-nawis do-do hain har ek bashar ke sath
rakh lena ya KHuda meri tar-damani ki sharm
baadal baraste aaen dua ke asar ke sath
in rozon KHandan ko koi puchhta nahin
izzat hai aadmi ki bas ab sim-o-zar ke sath
hathon mein chahte ho hina ka jo shoKH-rang
mehndi ko pis lo mere zaKHm-e-jigar ke sath
baqi KHumar raat ka ab tak hai saqiya
gardish mein jam bhi rahe dauran-e-sar ke sath
fazl-e-KHuda ka dekhna waiz ki roz-e-hashr
jannat mein hum bhi jaenge KHairul-bashar ke sath
KHat de ke nama-bar ko ye kahta hai shauq-e-dil
achchha to hai ki KHud bhi chalun nama-bar ke sath
bachna dil-o-jigar ka buton se muhaal hai
tir-e-mizha bhi chalte hain tegh-e-nazar ke sath
afsos ab kisi ka koi qadr-dan nahin
jauhar-shanas uTh gae ahl-e-hunar ke sath
karte na hum kisi ki itaat kabhi 'diler'
mashuq hum ko milte agar zor-o-zar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.