chalta nahin fareb kisi uzr-KHwah ka
chaltā nahīñ fareb kisī uzr-ḳhvāh kā
dil hai baġhal meñ yā koī daftar gunāh kā
ab kyā lagegā dil chaman-e-rozgār meñ
maarā huā hai dīda-e-ibrat-nigāh kā
duniyā maqām-e-hū nazar aa.egī nā-gahāñ
TūTegā jab tilism fareb-e-nigāh kā
dil kā.enāt-e-ishq meñ shāhoñ kā shaah hai
muḳhtār-e-kul tamām safed o siyāh kā
sābit huā kisī pe na jurm-e-vafā kabhī
parda khulā na ishq-e-sarāpā-gunāh kā
chalta nahin fareb kisi uzr-KHwah ka
dil hai baghal mein ya koi daftar gunah ka
ab kya lagega dil chaman-e-rozgar mein
mara hua hai dida-e-ibrat-nigah ka
duniya maqam-e-hu nazar aaegi na-gahan
TuTega jab tilism fareb-e-nigah ka
dil kaenat-e-ishq mein shahon ka shah hai
muKHtar-e-kul tamam safed o siyah ka
sabit hua kisi pe na jurm-e-wafa kabhi
parda khula na ishq-e-sarapa-gunah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.