chalte chalte rah mein aisa bhi kar jate hain hum
chalte chalte raah meñ aisā bhī kar jaate haiñ ham
manzil-e-maqsūd se aage guzar jaate haiñ ham
yakjā kar paatā hai vo ham ko ka.ī ghanToñ ke ba.ad
lams se us ke jo pal bhar meñ bikhar jaate haiñ ham
ek jumla hī qazā kā apnī baa.is ban gayā
lab pe bas zer-o-zabar aate hī mar jaate haiñ ham
ḳhūbsūrat is liye lagtī hai tasvīr-e-ġhazal
muḳhtalif lahjoñ se is meñ rang bhar jaate haiñ ham
dil sadā detā hai jab āvārgī āvārgī
jā ke phir us ke mahalle meñ Thahar jaate haiñ ham
rahguzar se vo miTā detā hai qadmoñ ke nishāñ
manziloñ pe naqsh-e-pā ban kar ubhar jaate haiñ ham
ek chārāgar to aisā bhī hai 'dilbar' shahr meñ
jis ke hāthoñ kī davā khāte hī mar jaate haiñ ham
chalte chalte rah mein aisa bhi kar jate hain hum
manzil-e-maqsud se aage guzar jate hain hum
yakja kar pata hai wo hum ko kai ghanTon ke baad
lams se us ke jo pal bhar mein bikhar jate hain hum
ek jumla hi qaza ka apni bais ban gaya
lab pe bas zer-o-zabar aate hi mar jate hain hum
KHubsurat is liye lagti hai taswir-e-ghazal
muKHtalif lahjon se is mein rang bhar jate hain hum
dil sada deta hai jab aawargi aawargi
ja ke phir us ke mahalle mein Thahar jate hain hum
rahguzar se wo miTa deta hai qadmon ke nishan
manzilon pe naqsh-e-pa ban kar ubhar jate hain hum
ek chaaragar to aisa bhi hai 'dilbar' shahr mein
jis ke hathon ki dawa khate hi mar jate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.