chalte chalte rahon se kaT jaana paDta hai
chalte chalte rāhoñ se kaT jaanā paḌtā hai
hote hote manzar se haT jaanā paḌtā hai
dekhnā paḌ jaatā hai ḳhud ko kar ke ek tamāshā.ī
apnī dhuul uḌā kar ḳhud aT jaanā paḌtā hai
ḳhattātī se duur bhaTakne vaale soch ke dāman ko
kore kāġhaz ke hāthoñ phaT jaanā paḌtā hai
sāzīna jab qadam baḌhātā hai us kī pāzeboñ kā
kānoñ ko jhankār kī aahaT jaanā paḌtā hai
ḳhvāhish mar jaa.e to us kī chitā ko aag dikhāne meñ
dhaḌkan dhaḌkan dil ke marghaT jaanā paḌtā hai
taab nahīñ ho jis meñ kāñch ko reza reza karne kī
us patthar ko TukḌoñ meñ baT jaanā paḌtā hai
ḳhud ke mutlāshī ko ek na ik din āḳhir-kār apne
bhūle-bisre hue kī chaukhaT jaanā paḌtā hai
sachchā.ī vo jang hai jis meñ ba.az auqāt sipāhī ko
aap muqābil apne hī DaT jaanā paḌtā hai
ik chingārī aag lagā jaatī hai ban meñ aur kabhī
ek kiran se zulmat ko chhaT jaanā paḌtā hai
baat riyā-kārī ke bin ban paatī nahīñ hai 'ḳhāvar'
is dozaḳh meñ karvaT karvaT jaanā paḌtā hai
chalte chalte rahon se kaT jaana paDta hai
hote hote manzar se haT jaana paDta hai
dekhna paD jata hai KHud ko kar ke ek tamashai
apni dhul uDa kar KHud aT jaana paDta hai
KHattati se dur bhaTakne wale soch ke daman ko
kore kaghaz ke hathon phaT jaana paDta hai
sazina jab qadam baDhata hai us ki pazebon ka
kanon ko jhankar ki aahaT jaana paDta hai
KHwahish mar jae to us ki chita ko aag dikhane mein
dhaDkan dhaDkan dil ke marghaT jaana paDta hai
tab nahin ho jis mein kanch ko reza reza karne ki
us patthar ko TukDon mein baT jaana paDta hai
KHud ke mutlashi ko ek na ek din aaKHir-kar apne
bhule-bisre hue ki chaukhaT jaana paDta hai
sachchai wo jang hai jis mein baz auqat sipahi ko
aap muqabil apne hi DaT jaana paDta hai
ek chingari aag laga jati hai ban mein aur kabhi
ek kiran se zulmat ko chhaT jaana paDta hai
baat riya-kari ke bin ban pati nahin hai 'KHawar'
is dozaKH mein karwaT karwaT jaana paDta hai
- Book : namood (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.