chalte chalte ruk jata hai
chalte chalte ruk jaatā hai
dīvāna kuchh soch rahā hai
is jañgal kā ek hī rasta
jis par jaadū kā pahrā hai
duur ghane peḌoñ kā manzar
mujh ko āvāzeñ detā hai
dam luuñ yā aage baḌh jā.ūñ
sar par bādal kā saayā hai
us zālim kī āñkheñ nam haiñ
patthar se paanī ristā hai
bhīgā bhīgā sub.h kā āñchal
raat bahut paanī barsā hai
chalte chalte ruk jata hai
diwana kuchh soch raha hai
is jangal ka ek hi rasta
jis par jadu ka pahra hai
dur ghane peDon ka manzar
mujh ko aawazen deta hai
dam lun ya aage baDh jaun
sar par baadal ka saya hai
us zalim ki aankhen nam hain
patthar se pani rista hai
bhiga bhiga subh ka aanchal
raat bahut pani barsa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.