chalte hain ki ab sabr bhi itna nahin rakhte
chalte haiñ ki ab sabr bhī itnā nahīñ rakhte
ik aur na.e dukh kā irāda nahīñ rakhte
bas ret sī uḌtī hai ab us rāhguzar par
jo peḌ bhī milte haiñ vo saaya nahīñ karte
kis taur se āḳhir unheñ tasvīr kareñ ham
jo ḳhvāb azal se koī chehra nahīñ rakhte
ik baar bichhaḌ jaa.eñ to DhūñDhe na mileñge
ham rah meñ kahīñ naqsh-e-kaf-e-pā nahīñ rakhte
phir sulh bhī tum bin to kahāñ honī thī ḳhud se
so rabt bhī ab ḳhud se ziyāda nahīñ rakhte
us moḌ pe rūThe ho tum ai dost ki jis par
dushman bhī koī rañj purānā nahīñ rakhte
kyā soch ke zinda haiñ tire dasht meñ ye log
āñkhoñ meñ jo ik ḳhvāb kā TukḌā nahīñ rakhte
chalte hain ki ab sabr bhi itna nahin rakhte
ek aur nae dukh ka irada nahin rakhte
bas ret si uDti hai ab us rahguzar par
jo peD bhi milte hain wo saya nahin karte
kis taur se aaKHir unhen taswir karen hum
jo KHwab azal se koi chehra nahin rakhte
ek bar bichhaD jaen to DhunDhe na milenge
hum rah mein kahin naqsh-e-kaf-e-pa nahin rakhte
phir sulh bhi tum bin to kahan honi thi KHud se
so rabt bhi ab KHud se ziyaada nahin rakhte
us moD pe ruThe ho tum ai dost ki jis par
dushman bhi koi ranj purana nahin rakhte
kya soch ke zinda hain tere dasht mein ye log
aankhon mein jo ek KHwab ka TukDa nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.