chalte jate hain par nahin aati
chalte jaate haiñ par nahīñ aatī
āḳhirī rah-guzar nahīñ aatī
ham ko bechain kar ke rakhtī hai
ek shai jo nazar nahīñ aatī
aañkh meñ kuchh chalā gayā shāyad
aañkh yūñhī to bhar nahīñ aatī
baiThe baiThe ḳhayāl aatā hai
un kī koī ḳhabar nahīñ aatī
is qadar kam dikhā.ī detā hai
ek sūrat nazar nahīñ aatī
vo balā mere sar meñ rahtī hai
jo balā mere sar nahīñ aatī
roz pursish ko log aate haiñ
maut jab vaqt par nahīñ aatī
chalte jate hain par nahin aati
aaKHiri rah-guzar nahin aati
hum ko bechain kar ke rakhti hai
ek shai jo nazar nahin aati
aankh mein kuchh chala gaya shayad
aankh yunhi to bhar nahin aati
baiThe baiThe KHayal aata hai
un ki koi KHabar nahin aati
is qadar kam dikhai deta hai
ek surat nazar nahin aati
wo bala mere sar mein rahti hai
jo bala mere sar nahin aati
roz pursish ko log aate hain
maut jab waqt par nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.