chalte-phirte huon ka gham mat kar
chalte-phirte huoñ kā ġham mat kar
dekh ham 'āshiqoñ kā ġham mat kar
phuul khilne kī bas du'ā.eñ maañg
gum-shuda titliyoñ kā ġham mat kar
gher lā.egī aañkh kī vahshat
ai junūñ bādaloñ kā ġham mat kar
ye to jāgīr pāniyoñ kī haiñ
Dūbte sāhiloñ kā ġham mat kar
tere jaane se kam kahāñ hoñge
tū mire mas.aloñ kā ġham mat kar
ḳhair nāzuk kalā.iyoñ kī maañg
kāñch kī chūḌiyoñ kā ġham mat kar
chalte-phirte huon ka gham mat kar
dekh hum 'ashiqon ka gham mat kar
phul khilne ki bas du'aen mang
gum-shuda titliyon ka gham mat kar
gher laegi aankh ki wahshat
ai junun baadalon ka gham mat kar
ye to jagir paniyon ki hain
Dubte sahilon ka gham mat kar
tere jaane se kam kahan honge
tu mere masalon ka gham mat kar
KHair nazuk kalaiyon ki mang
kanch ki chuDiyon ka gham mat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.