chalte phirte raston mein kho gae ahbab sab
chalte phirte rāstoñ meñ kho ga.e ahbāb sab
bas ga.e kis des jā kar ai dil-e-betāb sab
tund maujoñ se jo uljhe the hue sāhil nasīb
kashtiyoñ meñ baiThne vaale hue ġharqāb sab
chand gandī machhliyoñ ne sab ko rusvā kar diyā
machhliyoñ ke naam se Darne lage tālāb sab
vo añdheroñ kā pujārī chāhtā hai aur kyā
band karne par tulā hai raushnī ke baab sab
saare sajde be-harārat sab duā.eñ nā-rasā
kaise be-raunaq hue haiñ mimbar-o-mehrāb sab
un ke hoñToñ par tabassum un kī āñkhoñ meñ jalāl
chāhne vaale misāl-e-māhī-e-be-āb sab
niyyatoñ par munhasir hai zindagī kī haar jiit
yuuñ to kahne ko mayassar haiñ hameñ asbāb sab
rauñdte haiñ chāñd kā siina mashīnoñ ke qadam
reza-reza ho ga.e rūmān-parvar ḳhvāb sab
taaki pattoñ kā jaḌoñ se silsila daa.im rahe
siikh le ai nasl-e-nau aslāf ke ādāb sab
chalte phirte raston mein kho gae ahbab sab
bas gae kis des ja kar ai dil-e-betab sab
tund maujon se jo uljhe the hue sahil nasib
kashtiyon mein baiThne wale hue gharqab sab
chand gandi machhliyon ne sab ko ruswa kar diya
machhliyon ke nam se Darne lage talab sab
wo andheron ka pujari chahta hai aur kya
band karne par tula hai raushni ke bab sab
sare sajde be-hararat sab duaen na-rasa
kaise be-raunaq hue hain mimbar-o-mehrab sab
un ke honTon par tabassum un ki aankhon mein jalal
chahne wale misal-e-mahi-e-be-ab sab
niyyaton par munhasir hai zindagi ki haar jit
yun to kahne ko mayassar hain hamein asbab sab
raundte hain chand ka sina mashinon ke qadam
reza-reza ho gae ruman-parwar KHwab sab
taki patton ka jaDon se silsila daim rahe
sikh le ai nasl-e-nau aslaf ke aadab sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.