chaltī huī sāñsoñ meñ barkhā kī havā rakhnā
gītoñ kī phuvāroñ se rangīn fazā rakhnā
mahkūm jabīnoñ ko ye daur sikhātā hai
bandoñ kī ġhulāmī meñ sajdoñ ko ravā rakhnā
andāz badal denā iz.hār-e-mohabbat kā
lab sī de agar duniyā āñkhoñ meñ sadā rakhnā
man-maujī musāfir hai kyā jaane kab aa jaa.e
aahaT ko sune rahnā aamad kā pata rakhnā
nīñdoñ kī girānī se thak jaa.eñ agar āñkheñ
dahlīz pe so rahnā āñkhoñ ko khulā rakhnā
sar lenā bhī paḌtā hai sar denā bhī paḌtā hai
raas aatā nahīñ sab ko dastār-e-anā rakhnā
chalti hui sanson mein barkha ki hawa rakhna
giton ki phuwaron se rangin faza rakhna
mahkum jabinon ko ye daur sikhata hai
bandon ki ghulami mein sajdon ko rawa rakhna
andaz badal dena izhaar-e-mohabbat ka
lab si de agar duniya aankhon mein sada rakhna
man-mauji musafir hai kya jaane kab aa jae
aahaT ko sune rahna aamad ka pata rakhna
nindon ki girani se thak jaen agar aankhen
dahliz pe so rahna aankhon ko khula rakhna
sar lena bhi paDta hai sar dena bhi paDta hai
ras aata nahin sab ko dastar-e-ana rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.