chamak chehre ki honTon ki hansi dekhi nahin jati
chamak chehre kī hoñToñ kī hañsī dekhī nahīñ jaatī
sitamgar se mirī zinda-dilī dekhī nahīñ jaatī
guloñ se kah rahī haiñ titliyāñ mat ḳhanda-zan honā
ki ham se bāġhbāñ kī be-ruḳhī dekhī nahīñ jaatī
hameñ āñkheñ milī haiñ shā.iroñ jaisī ki ham se to
kisī dushman kī kashtī Dūbtī dekhī nahīñ jaatī
nadī ḳhud ḳhushk ho jaatī hai donoñ ko milāne meñ
nadī se sāhiloñ kī bebasī dekhī nahīñ jaatī
ḳhazāna aab kā ye ābshāreñ kyoñ luTātī haiñ
ki in se koī bhī sūkhī nadī dekhī nahīñ jaatī
vahī bas chāñd sūraj se bahut nārāz rahtī haiñ
ki jin āñkhoñ se un kī raushnī dekhī nahīñ jaatī
vo ambar hai maiñ panchhī huuñ vo gul hai to maiñ bulbul huuñ
kahīñ bhī is tarah kī dostī dekhī nahīñ jaatī
chamak chehre ki honTon ki hansi dekhi nahin jati
sitamgar se meri zinda-dili dekhi nahin jati
gulon se kah rahi hain titliyan mat KHanda-zan hona
ki hum se baghban ki be-ruKHi dekhi nahin jati
hamein aankhen mili hain shairon jaisi ki hum se to
kisi dushman ki kashti Dubti dekhi nahin jati
nadi KHud KHushk ho jati hai donon ko milane mein
nadi se sahilon ki bebasi dekhi nahin jati
KHazana aab ka ye aabshaaren kyon luTati hain
ki in se koi bhi sukhi nadi dekhi nahin jati
wahi bas chand suraj se bahut naraaz rahti hain
ki jin aankhon se un ki raushni dekhi nahin jati
wo ambar hai main panchhi hun wo gul hai to main bulbul hun
kahin bhi is tarah ki dosti dekhi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.