chamak kaisi ruKH-r-anwar mein hai
chamak kaisī ruḳh-r-anvār meñ hai
zamāna saarā hī asrār meñ hai
lagā.eñ apne fan-pāroñ kī qīmat
ki ab har chiiz hī bāzār meñ hai
ka.ī āñkheñ gaḌhī jaatī haiñ mujh meñ
koī rauzan dar-o-dīvār meñ hai
rahā huuñ muntazir jis kā azal se
vahī chehra mire afkār meñ hai
nahīñ pahlā sā ab rañg-e-bahārāñ
ki vīrānī gul-o-gulzār meñ hai
hadīs dil bayāñ kaise ho 'āsī'
mujhe mushkil bahut iz.hār meñ hai
chamak kaisi ruKH-r-anwar mein hai
zamana sara hi asrar mein hai
lagaen apne fan-paron ki qimat
ki ab har chiz hi bazar mein hai
kai aankhen gaDhi jati hain mujh mein
koi rauzan dar-o-diwar mein hai
raha hun muntazir jis ka azal se
wahi chehra mere afkar mein hai
nahin pahla sa ab rang-e-bahaaran
ki virani gul-o-gulzar mein hai
hadis dil bayan kaise ho 'asi'
mujhe mushkil bahut izhaar mein hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 394)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.