chamak raha hai mera sar bhi main bhi duniya bhi
chamak rahā hai mirā sar bhī maiñ bhī duniyā bhī
ik ā.īna hai samundar bhī maiñ bhī duniyā bhī
khulā ki ek hī rishte meñ munsalik haiñ tamām
ye merā sar bhī ye patthar bhī maiñ bhī duniyā bhī
kisī gunāh kī pādāsh meñ haiñ sab zinda
mire shajar mire manzar bhī maiñ bhī duniyā bhī
utar rahe haiñ sabhī ik nasheb kī jānib
bulandiyoñ se ye patthar bhī maiñ bhī duniyā bhī
ḳhabar kisī ko kisī kī nahīñ yahāñ lekin
havā kī zad pe gul-e-tar bhī maiñ bhī duniyā bhī
chamak raha hai mera sar bhi main bhi duniya bhi
ek aaina hai samundar bhi main bhi duniya bhi
khula ki ek hi rishte mein munsalik hain tamam
ye mera sar bhi ye patthar bhi main bhi duniya bhi
kisi gunah ki padash mein hain sab zinda
mere shajar mere manzar bhi main bhi duniya bhi
utar rahe hain sabhi ek nasheb ki jaanib
bulandiyon se ye patthar bhi main bhi duniya bhi
KHabar kisi ko kisi ki nahin yahan lekin
hawa ki zad pe gul-e-tar bhi main bhi duniya bhi
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 177)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.