chamak sitaron ki nazron pe bar guzri hai
chamak sitāroñ kī nazroñ pe baar guzrī hai
na pūchh kaise shab-e-intizār guzrī hai
jo āñsuoñ kī nadī ḳhushk thī ka.ī din se
vo saath apne liye ābshār guzrī hai
maiñ ik dhuāñ thā ki uThtā gayā har ik dil se
jidhar se vo nigah-e-barq-bār guzrī hai
vahāñ se saath mirā sāthiyoñ ne chhoḌ diyā
jahāñ se rāhguzar ḳhārzār guzrī hai
ḳhudā kā shukr hai 'fāzil' ki zindagī apnī
ġhamoñ ke saath bahut ḳhush-gavār guzrī hai
chamak sitaron ki nazron pe bar guzri hai
na puchh kaise shab-e-intizar guzri hai
jo aansuon ki nadi KHushk thi kai din se
wo sath apne liye aabshaar guzri hai
main ek dhuan tha ki uThta gaya har ek dil se
jidhar se wo nigah-e-barq-bar guzri hai
wahan se sath mera sathiyon ne chhoD diya
jahan se rahguzar KHarzar guzri hai
KHuda ka shukr hai 'fazil' ki zindagi apni
ghamon ke sath bahut KHush-gawar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.