chamakte bujhte sitaron ke sath kaTte hain
chamakte bujhte sitaron ke sath kaTte hain
Hashim Raza Jalalpuri
MORE BYHashim Raza Jalalpuri
chamakte bujhte sitāroñ ke saath kāTte haiñ
is ehtimām se ham apnī raat kāTte haiñ
mirī zabān kī qīmat lagāne vaale log
mujhe ḳharīd na paa.e to baat kāTte haiñ
hazāroñ saal se zulm-o-sitam ke parvarda
mosāfirān-e-mohabbat ke haath kāTte haiñ
savāl bai'at-e-āb-e-furāt uThte hī
asā-e-tishna-labī se furāt kāTte haiñ
usī kā naam sahārā hai dukh ke māroñ kā
usī ke naam se ham hādsāt kāTte haiñ
hamārī qadr karo ham haiñ shā.irān-e-junūñ
qalam kī nok se fasl-e-hayāt kāTte haiñ
chamakte bujhte sitaron ke sath kaTte hain
is ehtimam se hum apni raat kaTte hain
meri zaban ki qimat lagane wale log
mujhe KHarid na pae to baat kaTte hain
hazaron sal se zulm-o-sitam ke parwarda
mosafiran-e-mohabbat ke hath kaTte hain
sawal bai'at-e-ab-e-furaat uThte hi
asa-e-tishna-labi se furaat kaTte hain
usi ka nam sahaara hai dukh ke maron ka
usi ke nam se hum hadsat kaTte hain
hamari qadr karo hum hain shairan-e-junun
qalam ki nok se fasl-e-hayat kaTte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.