chamakte chand sitaro zara KHayal karo
chamakte chāñd sitāro zarā ḳhayāl karo
kabhī to dil se pukāro zarā ḳhayāl karo
hayā ke dhāgoñ meñ lipTe hue haiñ ham donoñ
na.ī rutoñ ke ishāro zarā ḳhayāl karo
girī to TuuT ke bikhrūñgī duur duur kahīñ
ai kāġhzī se sahāro zarā ḳhayāl karo
sulag rahā hai kisī kā firāq tan-man meñ
idhar na aao bahāro zarā ḳhayāl karo
milan kī aas hai lekin ye kaam nā-mumkin
nadī ke donoñ kināro zarā ḳhayāl karo
'samīna' ashk girā do ye zabt chhoḌo bhī
inheñ na dil se guzāro zarā ḳhayāl karo
chamakte chand sitaro zara KHayal karo
kabhi to dil se pukaro zara KHayal karo
haya ke dhagon mein lipTe hue hain hum donon
nai ruton ke ishaaro zara KHayal karo
giri to TuT ke bikhrungi dur dur kahin
ai kaghzi se sahaaro zara KHayal karo
sulag raha hai kisi ka firaq tan-man mein
idhar na aao bahaaro zara KHayal karo
milan ki aas hai lekin ye kaam na-mumkin
nadi ke donon kinaro zara KHayal karo
'samina' ashk gira do ye zabt chhoDo bhi
inhen na dil se guzaro zara KHayal karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.