chamakti hui dhup tezi se nikli
chamaktī huī dhuup tezī se niklī
guzartī huī bārishoñ ko bulāne
havāoñ ne zid kī ki ham bhī chaleñge
lagīñ ThanDakeñ apne paikar sajāne
milī thī ḳhabar mausamoñ ko kahīñ se
kisī kunj-e-gulshan meñ haiñ do divāne
vo barsoñ ke baa'd aaj yakjā hue haiñ
jo biitī hai ik dūsre ko sunāne
daraḳhtoñ ne jhuk jhuk ke tā'zīm baḳhshī
baḌhe sabza-o-gul bhī āñkheñ bichhāne
kabhī un ke chehroñ ko bārish ne chūmā
kabhī un kā dāman basāyā sabā ne
kabhī un kī āñkhoñ meñ sūraj ne jhāñkā
kabhī Daal dī un pe chādar ghaTā ne
chamakti hui dhup tezi se nikli
guzarti hui barishon ko bulane
hawaon ne zid ki ki hum bhi chalenge
lagin ThanDaken apne paikar sajaane
mili thi KHabar mausamon ko kahin se
kisi kunj-e-gulshan mein hain do diwane
wo barson ke ba'd aaj yakja hue hain
jo biti hai ek dusre ko sunane
daraKHton ne jhuk jhuk ke ta'zim baKHshi
baDhe sabza-o-gul bhi aankhen bichhane
kabhi un ke chehron ko barish ne chuma
kabhi un ka daman basaya saba ne
kabhi un ki aankhon mein suraj ne jhanka
kabhi Dal di un pe chadar ghaTa ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.