chaman chaman na rahega jo teri bu na rahe
chaman chaman na rahegā jo terī bū na rahe
maiñ us ḳhayāl se Dartā huuñ jis meñ tū na rahe
jo terā aks bhī mujh ko nasīb ho jaa.e
mirī talāsh mukammal ho justujū na rahe
ye aarzū hai ki tujh sā tamām duniyā meñ
sivā.e mere koī aur hū-ba-hū na rahe
khuleñge dil ke darīche suhāne mausam meñ
is intizār meñ nā-kām aarzū na rahe
jo zindagī ko zarā bhī sukūn aa jaa.e
to roz-o-shab kī musalsal ye hāv-hū na rahe
ye baat mere yaqīñ ke ḳhilāf hai 'tashna'
kisī mahāz pe tū aur surḳh-rū na rahe
chaman chaman na rahega jo teri bu na rahe
main us KHayal se Darta hun jis mein tu na rahe
jo tera aks bhi mujh ko nasib ho jae
meri talash mukammal ho justuju na rahe
ye aarzu hai ki tujh sa tamam duniya mein
siwae mere koi aur hu-ba-hu na rahe
khulenge dil ke dariche suhane mausam mein
is intizar mein na-kaam aarzu na rahe
jo zindagi ko zara bhi sukun aa jae
to roz-o-shab ki musalsal ye haw-hu na rahe
ye baat mere yaqin ke KHilaf hai 'tashna'
kisi mahaz pe tu aur surKH-ru na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.