chaman chaman se gulon ka yahi payam aaya
chaman chaman se gulon ka yahi payam aaya
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
chaman chaman se guloñ kā yahī payām aayā
vahī hasīñ hai jo duniyā meñ shād-kām aayā
mirī taraf ko uThī yuuñ nigāh saaqī kī
ki jaise daur meñ labrez mai kā jaam aayā
ḳhud un ke ruḳh se huā un ke dil kā haal ayaañ
jo bhūle-bisre kabhī lab pe merā naam aayā
baḌhā ke haath zamāne ne us se chhīn liyā
jo ek lahja bhī lab tak kisī ke jaam aayā
sadā-e-pīr-e-muġhāñ thī ye bazm-e-rindāñ meñ
hai is kā mai-kadā qabze meñ jis ke jaam aayā
harīm-e-nāz se aa to gayā huuñ maiñ lekin
pukārtā huā koī har ek gaam aayā
maiñ gum hī thā abhī tārīkiyoñ meñ maazī kī
ki sub.h-e-nau kī kiran kā mujhe salām aayā
ḳhayāl-e-yār kī mad-hoshiyāñ ma.āz-allāh
mirī nazar na uThī jab vo sū-e-bām aayā
ḳhirad kī saarī ga.ī puḳhta-kāriyāñ be-kār
bas ek shauq kā saudā-e-ḳhām kaam aayā
'habīb' dād-e-suḳhan mil ga.ī mujhe us roz
pasand-e-tab.a jab un ko mirā kalām aayā
chaman chaman se gulon ka yahi payam aaya
wahi hasin hai jo duniya mein shad-kaam aaya
meri taraf ko uThi yun nigah saqi ki
ki jaise daur mein labrez mai ka jam aaya
KHud un ke ruKH se hua un ke dil ka haal ayan
jo bhule-bisre kabhi lab pe mera nam aaya
baDha ke hath zamane ne us se chhin liya
jo ek lahja bhi lab tak kisi ke jam aaya
sada-e-pir-e-mughan thi ye bazm-e-rindan mein
hai is ka mai-kada qabze mein jis ke jam aaya
harim-e-naz se aa to gaya hun main lekin
pukarta hua koi har ek gam aaya
main gum hi tha abhi tarikiyon mein mazi ki
ki subh-e-nau ki kiran ka mujhe salam aaya
KHayal-e-yar ki mad-hoshiyan maaz-allah
meri nazar na uThi jab wo su-e-baam aaya
KHirad ki sari gai puKHta-kariyan be-kar
bas ek shauq ka sauda-e-KHam kaam aaya
'habib' dad-e-suKHan mil gai mujhe us roz
pasand-e-taba jab un ko mera kalam aaya
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 45)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.