Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman hai kaisa ye kaisi bahaar hai saqi

Athar Ziai

chaman hai kaisa ye kaisi bahaar hai saqi

Athar Ziai

MORE BYAthar Ziai

    chaman hai kaisā ye kaisī bahār hai saaqī

    lahū se sehn-e-chaman lāla-zār hai saaqī

    ye chīra-dastī-e-ahl-e-junūñ ma.āz-allāh

    qabā-e-lāla-o-gul taar taar hai saaqī

    hai zad meñ ātish-o-āhan shahr-e-rāmish-o-rañg

    udaas shaam sahar sogvār hai saaqī

    ye zaḳhm zaḳhm badan aur ye soḳhta lāsheñ

    ajiib marhala-e-gīr-o-dār hai saaqī

    ye kyā sitam hai ki qātil hai suraḳh-rū lekin

    huā jo qatl vahī sharmsār hai saaqī

    na jaane mausam-e-gul shabāb kyā hogā

    agar ye āmad-e-fasl-e-bahār hai saaqī

    bajā ki vaqt taġhayyur-pazīr hai har dam

    magar hayāt kab e'tibār hai saaqī

    chaman hai kaisa ye kaisi bahaar hai saqi

    lahu se sehn-e-chaman lala-zar hai saqi

    ye chira-dasti-e-ahl-e-junun maaz-allah

    qaba-e-lala-o-gul tar tar hai saqi

    hai zad mein aatish-o-ahan ki shahr-e-ramish-o-rang

    udas sham sahar sogwar hai saqi

    ye zaKHm zaKHm badan aur ye soKHta lashen

    ajib marhala-e-gir-o-dar hai saqi

    ye kya sitam hai ki qatil hai suraKH-ru lekin

    hua jo qatl wahi sharmsar hai saqi

    na jaane mausam-e-gul ka shabab kya hoga

    agar ye aamad-e-fasl-e-bahaar hai saqi

    baja ki waqt taghayyur-pazir hai har dam

    magar hayat ka kab e'tibar hai saqi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now