chaman ka haal sunao ki raat kaT jae
chaman kā haal sunāo ki raat kaT jaa.e
tamām raat rulāo ki raat kaT jaa.e
junūn o 'aql shanāsā darīda-dil logo
kuchh apnī apnī sunāo ki raat kaT jaa.e
taras ga.ī haiñ nigāheñ kiran kiran ke liye
koī sahar ko batāo ki raat kaT jaa.e
bichhaḌne vāloñ kī vo boltī huī āñkheñ
mujhe na yaad dilāo ki raat kaT jaa.e
añdherā raat kā jaane ho ḳhatm kab 'uzma'
sahar kā ḳhvāb dikhāo ki raat kaT jaa.e
chaman ka haal sunao ki raat kaT jae
tamam raat rulao ki raat kaT jae
junun o 'aql shanasa darida-dil logo
kuchh apni apni sunao ki raat kaT jae
taras gai hain nigahen kiran kiran ke liye
koi sahar ko batao ki raat kaT jae
bichhaDne walon ki wo bolti hui aankhen
mujhe na yaad dilao ki raat kaT jae
andhera raat ka jaane ho KHatm kab 'uzma'
sahar ka KHwab dikhao ki raat kaT jae
- Book : Sitara Pas e Mizgaan (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.