chaman ka zikr hi kya husn-e-la-zawal ke baad
chaman kā zikr hī kyā husn-e-lā-zavāl ke baad
ḳhayāl-e-ḳhuld kareñ kyā tire ḳhayāl ke baad
ḳhabar nahīñ mujhe kyā un ke qalb par guzrī
ki sharmsār huā huuñ maiñ arz-e-hāl ke baad
na chhoḌ gardish-e-daurāñ ab ek aalam par
koī to haal ho merā shikasta-hāl ke baad
kuchh aur ho na sakī un se guftugū aage
ki aa ga.e the vo sakte meñ ik savāl ke baad
nigāh-o-dil kā hamāre bhī hai vahī aalam
huā jo tuur pe nazzāra-e-jamāl ke baad
haiñ aks-e-pā-e-nigārāñ pe sajda-hā-e-mudām
uThā hī karte haiñ dast-e-duā hilāl ke baad
vo aaj sarhad-e-lafz-o-bayāñ se bāhar hai
'nishā' mujhe jo masarrat huī malāl ke baad
chaman ka zikr hi kya husn-e-la-zawal ke baad
KHayal-e-KHuld karen kya tere KHayal ke baad
KHabar nahin mujhe kya un ke qalb par guzri
ki sharmsar hua hun main arz-e-haal ke baad
na chhoD gardish-e-dauran ab ek aalam par
koi to haal ho mera shikasta-haal ke baad
kuchh aur ho na saki un se guftugu aage
ki aa gae the wo sakte mein ek sawal ke baad
nigah-o-dil ka hamare bhi hai wahi aalam
hua jo tur pe nazzara-e-jamal ke baad
hain aks-e-pa-e-nigaran pe sajda-ha-e-mudam
uTha hi karte hain dast-e-dua hilal ke baad
wo aaj sarhad-e-lafz-o-bayan se bahar hai
'nisha' mujhe jo masarrat hui malal ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.