chaman ki sair bhi kafi rahi ana ke liye
chaman kī sair bhī kaafī rahī anā ke liye
sabā ne phuul ke bose mujhe dikhā ke liye
ḳhudā kī naav meñ patvār rakh diye ga.e haiñ
ḳhud ik ḳhudā ke liye ek nāḳhudā ke liye
kisī ne vaqt pe rutbe liye chalā ke havā
kisī ne vaqt meñ rutbe diye jalā ke liye
is imbisāt kā ham ko milā na ushr-e-ashīr
maze jo bachchoñ ne miTTī ke ghar banā ke liye
tumhārī āñkheñ jo dekhīñ to ye ḳhayāl aaya
kahīñ to khiḌkī khulī hai koī havā ke liye
hamārā rehn-sahan hī duā.iyā sā hai
ham apne haath uThāte nahīñ duā ke liye
nizām-e-zarf ajab falsafe pe chaltā hai
jazā sazā ke liye hai sazā jazā ke liye
jo phuul maiñ ne ḳharīde vo us ke haath meñ haiñ
jo phuul us ne liye mujh se bhī chhupā ke liye
chaman ki sair bhi kafi rahi ana ke liye
saba ne phul ke bose mujhe dikha ke liye
KHuda ki naw mein patwar rakh diye gae hain
KHud ek KHuda ke liye ek naKHuda ke liye
kisi ne waqt pe rutbe liye chala ke hawa
kisi ne waqt mein rutbe diye jala ke liye
is imbisat ka hum ko mila na ushr-e-ashir
maze jo bachchon ne miTTi ke ghar bana ke liye
tumhaari aankhen jo dekhin to ye KHayal aaya
kahin to khiDki khuli hai koi hawa ke liye
hamara rehn-sahan hi duaiya sa hai
hum apne hath uThate nahin dua ke liye
nizam-e-zarf ajab falsafe pe chalta hai
jaza saza ke liye hai saza jaza ke liye
jo phul main ne KHaride wo us ke hath mein hain
jo phul us ne liye mujh se bhi chhupa ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.