chaman ki tazgi phulon ki dil-kashi le kar
chaman kī tāzgī phūloñ kī dil-kashī le kar
tire dayār meñ aaya huuñ zindagī le kar
jo kar rahā hai ikaTThā matā-e-hastī to
vahāñ na jā.egā sun le tū ek bhī le kar
ragoñ meñ dauḌ rahī hai siyāhī nafrat kī
chale bhī aao mohabbat kī raushnī le kar
navāz deñge to ehsān aap kā hogā
maiñ TuuTī phūTī yahāñ aaya shā.erī le kar
zamāna dekhne lagtā hai shak kī nazroñ se
koī nikaltā nahīñ lab pe ab hañsī le kar
kisī se kuchh nahīñ kahtā hai apne dil kī baat
bhaTak rahā hai vo hoñToñ pe ḳhāmushī le kar
añdhere paañv pasāreñge kis tarah 'jāzil'
mohabbatoñ kī maiñ niklā huuñ chāñdnī le kar
chaman ki tazgi phulon ki dil-kashi le kar
tere dayar mein aaya hun zindagi le kar
jo kar raha hai ikaTTha mata-e-hasti to
wahan na jaega sun le tu ek bhi le kar
ragon mein dauD rahi hai siyahi nafrat ki
chale bhi aao mohabbat ki raushni le kar
nawaz denge to ehsan aap ka hoga
main TuTi phuTi yahan aaya shaeri le kar
zamana dekhne lagta hai shak ki nazron se
koi nikalta nahin lab pe ab hansi le kar
kisi se kuchh nahin kahta hai apne dil ki baat
bhaTak raha hai wo honTon pe KHamushi le kar
andhere panw pasarenge kis tarah 'jazil'
mohabbaton ki main nikla hun chandni le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.