chaman ko rang saba tazgi bahaar mile
chaman ko rang sabā tāzgī bahār mile
tumhāre husn se har chiiz ko nikhār mile
badal ga.ī hai zamāne kī aisī āb-o-havā
ki ab to jis ko bhī dekhūñ vo ashk-bār mile
ye aarzū hai nazar pher kar guzar jā.ūñ
vo merā dushman-e-jāñ phir jo ek baar mile
ye apnā apnā muqaddar hai kis ne kyā paayā
kisī ko phuul kisī ko chaman se ḳhaar mile
'ajīb vaqt kī āñdhī chalī jo hosh aayā
to dil pe chhā.e hue saiñkaḌoñ ġhubār mile
ye dekhne ke liye baar baar lauTtī huuñ
ki kaash tū mire jaane pe sogvār mile
maiñ aise shaḳhs ko kyā naam duuñ 'humairā' jise
maiñ jitnī baar bhī dekhūñ mujhe qarār mile
chaman ko rang saba tazgi bahaar mile
tumhaare husn se har chiz ko nikhaar mile
badal gai hai zamane ki aisi aab-o-hawa
ki ab to jis ko bhi dekhun wo ashk-bar mile
ye aarzu hai nazar pher kar guzar jaun
wo mera dushman-e-jaan phir jo ek bar mile
ye apna apna muqaddar hai kis ne kya paya
kisi ko phul kisi ko chaman se KHar mile
'ajib waqt ki aandhi chali jo hosh aaya
to dil pe chhae hue sainkaDon ghubar mile
ye dekhne ke liye bar bar lauTti hun
ki kash tu mere jaane pe sogwar mile
main aise shaKHs ko kya nam dun 'humaira' jise
main jitni bar bhi dekhun mujhe qarar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.