chaman mahfuz hoga meri duniya miT gai hogi
chaman mahfūz hogā merī duniyā miT ga.ī hogī
jahāñ bijlī ko girnā thā vahīñ bijlī girī hogī
kahāñ tak jabr kartā dil pe āḳhir maiñ bhī insāñ huuñ
tabī.at phir tabī.at hai kabhī ghabrā ga.ī hogī
badal jaa.e jo mīr-e-kārvāñ kyā farq paḌtā hai
agar jaada vahī hogā to manzil bhī vahī hogī
ḳhizāñ kā daur hogā mausam-e-gul jā chukā hogā
qafas se jab maiñ chhūTūñgā to duniyā dūsrī hogī
mujhe ġham dene vaale zabt-e-ġham kā hausla bhī de
yaqīnan ba.ad is ke shān-e-ġham kuchh aur hī hogī
bahār aa.e na aa.e maiñ garebāñ chaak kar lūñgā
agar ḳhāmosh baiThūñgā to ye dīvāngī hogī
vo shām-e-hijr ho yā vasl kī shab farq itnā hai
kahīñ terī kamī hogī kahīñ merī kamī hogī
hamāre āshiyāñ par kab gireñgī bijliyāñ āḳhir
'sa.īd' allāh jaane kab chaman meñ raushnī hogī
chaman mahfuz hoga meri duniya miT gai hogi
jahan bijli ko girna tha wahin bijli giri hogi
kahan tak jabr karta dil pe aaKHir main bhi insan hun
tabiat phir tabiat hai kabhi ghabra gai hogi
badal jae jo mir-e-karwan kya farq paDta hai
agar jada wahi hoga to manzil bhi wahi hogi
KHizan ka daur hoga mausam-e-gul ja chuka hoga
qafas se jab main chhuTunga to duniya dusri hogi
mujhe gham dene wale zabt-e-gham ka hausla bhi de
yaqinan baad is ke shan-e-gham kuchh aur hi hogi
bahaar aae na aae main gareban chaak kar lunga
agar KHamosh baiThunga to ye diwangi hogi
wo sham-e-hijr ho ya wasl ki shab farq itna hai
kahin teri kami hogi kahin meri kami hogi
hamare aashiyan par kab girengi bijliyan aaKHir
'said' allah jaane kab chaman mein raushni hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.