chaman mein ab koi ai dost zindagi na rahi
chaman meñ ab koī ai dost zindagī na rahī
guloñ meñ rang bahāroñ meñ dilkashī na rahī
kahāñ banā.eñ nasheman qafas se chhuTne par
ki ab chaman meñ koī aisī shāḳh hī na rahī
ġham-e-hayāt ne saarā lahū nichoḌ liyā
charāġh-e-ḳhāna-e-muflis meñ raushnī na rahī
tumhāre sāmne har haal meñ jiye lekin
tumhāre baad tamannā-e-zindagī na rahī
sharāb-e-nāb hai saaqī bhī hai muġhannī bhī
magar diloñ meñ tamannā-e-mai-kashī na rahī
ye kaifiyat hī rahī un kī mahfil-e-nau meñ
charāġh jalte rahe aur raushnī na rahī
tamām umr guzārī hai rah-navardī meñ
junūn-e-shauq meñ manzil kī yaad bhī na rahī
uTh aur ashk-e-mohabbat se kar vuzū 'armān'
sahar qarīb hai tāroñ meñ raushnī na rahī
chaman mein ab koi ai dost zindagi na rahi
gulon mein rang bahaaron mein dilkashi na rahi
kahan banaen nasheman qafas se chhuTne par
ki ab chaman mein koi aisi shaKH hi na rahi
gham-e-hayat ne sara lahu nichoD liya
charagh-e-KHana-e-muflis mein raushni na rahi
tumhaare samne har haal mein jiye lekin
tumhaare baad tamanna-e-zindagi na rahi
sharab-e-nab hai saqi bhi hai mughanni bhi
magar dilon mein tamanna-e-mai-kashi na rahi
ye kaifiyat hi rahi un ki mahfil-e-nau mein
charagh jalte rahe aur raushni na rahi
tamam umr guzari hai rah-nawardi mein
junun-e-shauq mein manzil ki yaad bhi na rahi
uTh aur ashk-e-mohabbat se kar wuzu 'arman'
sahar qarib hai taron mein raushni na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.