chaman mein bulbulon ke jhurmuT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
chaman mein bulbulon ke jhurmuT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
chaman meñ bulbuloñ ke jhurmuT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
isī se hai gul ko bhī lagāvaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
ye kahiyo dekhā kiyā huuñ zālim uThā ke bālīñ se sar ko har dam
samajh ke paañv kī tere aahaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
tirī judā.ī meñ raat saarī sabā ye kahnā ba-āh-o-zārī
badalte guzrī hai mujh ko karvaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
bhalā batāo to ḳhalq kyuuñ kar do rasta rakkheñ na haat dil par
laḌātā hai añkhḌiyāñ vo naT-khaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
gayā jo gulshan meñ merā gul-rū to kaliyāñ phūloñ kī pā ke qaabū
balā.eñ letī haiñ us kī chaT-chaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
kabhī ye be-dil kabhī vo be-dil safā.ī honī hai in meñ mushkil
rahegī bāham yuuñ hī rukāvaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
ye kah do āshiq kā us sanam se dil-o-jigar ab ḳharāsh-e-ġham se
gire hai ashkoñ ke saath kaT kaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
ye hai nasheb-o-farāz-e-duniyā abas hai is kā ḳhayāl karnā
jahāñ meñ hote haiñ yuuñ hī jamghaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
jo dekhe kaalā to khā mare sam ye us ke mukhḌe pe 'aish' jis dam
havā se hotī hai zulf kī laT kabhī idhar ko kabhī udhar ko
chaman mein bulbulon ke jhurmuT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
isi se hai gul ko bhi lagawaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
ye kahiyo dekha kiya hun zalim uTha ke baalin se sar ko har dam
samajh ke panw ki tere aahaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
teri judai mein raat sari saba ye kahna ba-ah-o-zari
badalte guzri hai mujh ko karwaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
bhala batao to KHalq kyun kar do rasta rakkhen na hat dil par
laData hai ankhDiyan wo naT-khaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
gaya jo gulshan mein mera gul-ru to kaliyan phulon ki pa ke qabu
balaen leti hain us ki chaT-chaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
kabhi ye be-dil kabhi wo be-dil safai honi hai in mein mushkil
rahegi baham yun hi rukawaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
ye kah do aashiq ka us sanam se dil-o-jigar ab KHarash-e-gham se
gire hai ashkon ke sath kaT kaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
ye hai nasheb-o-faraaz-e-duniya abas hai is ka KHayal karna
jahan mein hote hain yun hi jamghaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
jo dekhe kala to kha mare sam ye us ke mukhDe pe 'aish' jis dam
hawa se hoti hai zulf ki laT kabhi idhar ko kabhi udhar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.