chaman mein chehra-e-gul par kahan nikhaar ka rang
chaman mein chehra-e-gul par kahan nikhaar ka rang
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
chaman meñ chehra-e-gul par kahāñ nikhār kā rang
na jaane kaisā hai ab ke baras bahār kā rang
vo iztirāb kā aalam vo intishār kā rang
ḳhushā vo dil jise raas aa.e intizār kā rang
chaman ko jis ne ḳhud apne lahū se sīñchā hai
usī se pūchhiye ra.anā.ī-e-bahār kā rang
har ek rang yahāñ jannat-e-nigāh sahī
magar aziiz hai mujh ko ḳhayāl-e-yār kā rang
hamāre dam se hai qaa.em chaman kī ra.anā.ī
hamāre ḳhuun se miltā hai lāla-zār kā rang
na pūchh kaise shab-e-intizār guzrī hai
na dekh kyā hai mirī chashm-e-intizār kā rang
hazār va.ada-e-mohkam ke bāvajūd ai dost
miTā miTā sā hai phir tere e.atibār kā rang
vafā kā ḳhuun kabhī rā.egāñ nahīñ jaatā
hai surḳh aaj bhī 'jauhar' salīb-o-dār kā rang
chaman mein chehra-e-gul par kahan nikhaar ka rang
na jaane kaisa hai ab ke baras bahaar ka rang
wo iztirab ka aalam wo intishaar ka rang
KHusha wo dil jise ras aae intizar ka rang
chaman ko jis ne KHud apne lahu se sincha hai
usi se puchhiye ranai-e-bahaar ka rang
har ek rang yahan jannat-e-nigah sahi
magar aziz hai mujh ko KHayal-e-yar ka rang
hamare dam se hai qaem chaman ki ranai
hamare KHun se milta hai lala-zar ka rang
na puchh kaise shab-e-intizar guzri hai
na dekh kya hai meri chashm-e-intizar ka rang
hazar wada-e-mohkam ke bawajud ai dost
miTa miTa sa hai phir tere eatibar ka rang
wafa ka KHun kabhi raegan nahin jata
hai surKH aaj bhi 'jauhar' salib-o-dar ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.