chaman mein gul-fishani ho rahi hai
chaman meñ gul-fishānī ho rahī hai
havā kī mehrbānī ho rahī hai
yahāñ maiñ qatra qatra ghul rahā huuñ
mohabbat paanī paanī ho rahī hai
maiñ aksar niiñd meñ Darne lagā huuñ
mirī beTī siyānī ho rahī hai
hamāre bachche bhī paḌh likh rahe haiñ
tumheñ kyoñ bad-gumānī ho rahī hai
idhar mehmān aksar aa rahe haiñ
udhar chādar purānī ho rahī hai
unheñ palkoñ pe rakkhā hai biThā kar
anokhī mezbānī ho rahī hai
abhī tak 'nazr' kī palkeñ haiñ bhārī
bayāñ shab kī kahānī ho rahī hai
chaman mein gul-fishani ho rahi hai
hawa ki mehrbani ho rahi hai
yahan main qatra qatra ghul raha hun
mohabbat pani pani ho rahi hai
main aksar nind mein Darne laga hun
meri beTi siyani ho rahi hai
hamare bachche bhi paDh likh rahe hain
tumhein kyon bad-gumani ho rahi hai
idhar mehman aksar aa rahe hain
udhar chadar purani ho rahi hai
unhen palkon pe rakkha hai biTha kar
anokhi mezbani ho rahi hai
abhi tak 'nazr' ki palken hain bhaari
bayan shab ki kahani ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.