chaman mein ja-ja ke ranDiyon ko pilaoge yun sharab kab tak
chaman mein ja-ja ke ranDiyon ko pilaoge yun sharab kab tak
Mohsin Khan Mohsin
MORE BYMohsin Khan Mohsin
chaman meñ jā-jā ke ranDiyoñ ko pilāoge yuuñ sharāb kab tak
kabāb khā-khā ke saut ke tum karoge ham ko kabāb kab tak
ajī vo baalā na lāoge tum ye Taalā kab tak banāoge tum
kabhī to kamre pe aaoge tum karoge laala hijāb kab tak
mue ne merī na ek maanī vahī hai gauhar pe mehrbānī
ḳhudā hī jaane ki mujh pe jaanī rahegā ab ye itaab kab tak
huī adam ko buā tayārī ye saaf kahtī hai be-qarārī
karūñ kahāñ tak maiñ āh-o-zārī vo likkheñ ḳhat kā javāb kab tak
huī hai us din se un ko nafrat baḌhā.ī ranDī se jab se ulfat
yahī hai guyyāñ mujhe bhī hairat rahūñgī zer-e-itāb kab tak
zuhūr piirī karegī sāhib koī na yuuñ phir maregī sāhib
javānī kab tak rahegī sāhib rahegā daur-e-shabāb kab tak
vo sabzī manDī meñ hai jo ranDī muuī ko de de hai sau kī banDī
raqam ho sau sau kī yuuñ jo ThanDī chalegā ghar kā hisāb kab tak
muā nashe meñ ye be-ḳhabar hai haiñ paañv paTTī pe nīche sar hai
na roTī kapḌā na ghar na dar hai phirūñ maiñ dar-dar ḳharāb kab tak
isī se ghul ghul ga.ī hai begam hai nannhī sī jaañ pe koh sā ġham
nigoḌī kasbī pe qibla-ālam raheñge shaidā janāb kab tak
haiñ shohre baajī hamārī gat ke jagat sharārat chakit chapat ke
ye raag sun-sun na.ī ghaḌat ke na leñge karvaT navāb kab tak
lagā ke phūlo na jañglā dūlhā koī banā.e na kañglā dūlhā
hai naqsh-bar-āb bañgla dūlhā rahegā misl-e-habāb kab tak
utaar sar se kulāh-e-tatrī paḌheñ jo āl-e-nabī kī patrī
bane buā jī na sar kī chhatrī vo sāya-e-bū-turāb kab tak
chalegī piirī meñ kuchh na baḌ-baḌ nikāl deñgī chhināleñ laḌ-laḌ
gireñge āḳhir mue vo jhaḌ-jhaḌ karoge mirzā ḳhizāb kab tak
nahīñ raqīboñ se vo bhī kuchh kam ye qasmeñ khā-khā ke kahte haiñ ham
tumhāre 'mohsin' se 'anqā' begam na hoñge vo lā-javāb kab tak
chaman mein ja-ja ke ranDiyon ko pilaoge yun sharab kab tak
kabab kha-kha ke saut ke tum karoge hum ko kabab kab tak
aji wo baala na laoge tum ye Tala kab tak banaoge tum
kabhi to kamre pe aaoge tum karoge lala hijab kab tak
mue ne meri na ek mani wahi hai gauhar pe mehrbani
KHuda hi jaane ki mujh pe jaani rahega ab ye itab kab tak
hui adam ko bua tayari ye saf kahti hai be-qarari
karun kahan tak main aah-o-zari wo likkhen KHat ka jawab kab tak
hui hai us din se un ko nafrat baDhai ranDi se jab se ulfat
yahi hai guyyan mujhe bhi hairat rahungi zer-e-itab kab tak
zuhur piri karegi sahib koi na yun phir maregi sahib
jawani kab tak rahegi sahib rahega daur-e-shabab kab tak
wo sabzi manDi mein hai jo ranDi mui ko de de hai sau ki banDi
raqam ho sau sau ki yun jo ThanDi chalega ghar ka hisab kab tak
mua nashe mein ye be-KHabar hai hain panw paTTi pe niche sar hai
na roTi kapDa na ghar na dar hai phirun main dar-dar KHarab kab tak
isi se ghul ghul gai hai begam hai nannhi si jaan pe koh sa gham
nigoDi kasbi pe qibla-alam rahenge shaida janab kab tak
hain shohre baji hamari gat ke jagat shararat chakit chapat ke
ye rag sun-sun nai ghaDat ke na lenge karwaT nawab kab tak
laga ke phulo na jangla dulha koi banae na kangla dulha
hai naqsh-bar-ab bangla dulha rahega misl-e-habab kab tak
utar sar se kulah-e-tatri paDhen jo aal-e-nabi ki patri
bane bua ji na sar ki chhatri wo saya-e-bu-turab kab tak
chalegi piri mein kuchh na baD-baD nikal dengi chhinalen laD-laD
girenge aaKHir mue wo jhaD-jhaD karoge mirza KHizab kab tak
nahin raqibon se wo bhi kuchh kam ye qasmen kha-kha ke kahte hain hum
tumhaare 'mohsin' se 'anqa' begam na honge wo la-jawab kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.