chaman mein jab bhi tera tazkira nikalta hai
chaman meñ jab bhī tirā tazkira nikaltā hai
har ek phuul nayā pairahan badaltā hai
na jaane yaad tirī hai ki tere hijr kā ġham
har ek raat mire dil ko jo masaltā hai
'ajīb chiiz hai jānāñ tirā na honā bhī
har ek zaḳhm se mere lahū ubaltā hai
ġham-e-hayāt se miltā hai dil ko lutf nayā
ki ye shajar to ḳhizāñ meñ bhī ḳhuub phaltā hai
fasāna ḳhatm ko pahuñchā nahīñ abhī 'sāhil'
sadā ye aa.ī ki ḳhurshīd-e-umr Dhaltā hai
chaman mein jab bhi tera tazkira nikalta hai
har ek phul naya pairahan badalta hai
na jaane yaad teri hai ki tere hijr ka gham
har ek raat mere dil ko jo masalta hai
'ajib chiz hai jaanan tera na hona bhi
har ek zaKHm se mere lahu ubalta hai
gham-e-hayat se milta hai dil ko lutf naya
ki ye shajar to KHizan mein bhi KHub phalta hai
fasana KHatm ko pahuncha nahin abhi 'sahil'
sada ye aai ki KHurshid-e-umr Dhalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.