chaman mein mujhse diwane ke le jaane se kya hasil
chaman mein mujhse diwane ke le jaane se kya hasil
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
chaman meñ mujh se dīvāne ke le jaane se kyā hāsil
dikhā kar gul junūñ ko shor meñ laane se kyā hāsil
jinheñ bāloñ kī phāñsī dī vo hargiz jī nahīñ sakte
jo zulfoñ meñ phañsāyā us ke ġham khāne se kyā hāsil
hamāre dard kī daarū agar kuchh hai to daarū hai
ye sab kuchh sun ke saaqī baat pī jaane se kyā hāsil
nigah tere hī jaise aks ā.īne kā chīnī meñ
ye sab bāteñ samajh kar jaan sharmāne se kyā hāsil
na vo dil hai na vo shor-e-junūñ hai sair-e-gul mat kar
rafīqoñ bin 'yaqīñ' gulzār meñ jaane se kyā hāsil
chaman mein mujh se diwane ke le jaane se kya hasil
dikha kar gul junun ko shor mein lane se kya hasil
jinhen baalon ki phansi di wo hargiz ji nahin sakte
jo zulfon mein phansaya us ke gham khane se kya hasil
hamare dard ki daru agar kuchh hai to daru hai
ye sab kuchh sun ke saqi baat pi jaane se kya hasil
nigah tere hi jaise aks aaine ka chini mein
ye sab baaten samajh kar jaan sharmane se kya hasil
na wo dil hai na wo shor-e-junun hai sair-e-gul mat kar
rafiqon bin 'yaqin' gulzar mein jaane se kya hasil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.