chaman mein rahne de kaun aashiyan nahin malum
chaman meñ rahne de kaun āshiyāñ nahīñ mā'lūm
nihāl kis ko kare bāġhbāñ nahīñ mā'lūm
mire sanam kā kisī ko makāñ nahīñ mā'lūm
ḳhudā kā naam sunā hai nishāñ nahīñ mā'lūm
aḳhīr ho ga.e ġhaflat meñ din javānī ke
bahār-e-umr huī kab ḳhizāñ nahīñ mā'lūm
ye ishtiyāq-e-shahādat meñ mahv thā dam-e-qatl
lage haiñ zaḳhm badan par kahāñ nahīñ mā'lūm
sunā jo zikr-e-ilāhī to us sanam ne kahā
'ayāñ ko jānte haiñ ham nihāñ nahīñ mā'lūm
kiyā hai kis ne tarīq-e-sulūk se āgāh
murīd kis kā hai pīr-e-muġhāñ nahīñ mā'lūm
mirī tarah to nahīñ us ko 'ishq kā āzār
ye zard rahtī hai kyuuñ za.afarāñ nahīñ mā'lūm
jahān o kār-e-jahāñ se huuñ be-ḳhabar maiñ mast
zamīñ kidhar hai kahāñ āsmāñ nahīñ mā'lūm
supurd kis ke mire baa'd ho amānat-e-ishq
uThā.e kaun ye bār-e-girāñ nahīñ mā'lūm
ḳhamosh aisā huā huuñ maiñ kam-dimāġhī se
dahan meñ hai ki nahīñ hai zabāñ nahīñ mā'lūm
mirī tumhārī mohabbat hai shohra-e-āfāq
kise haqīqat-e-māh-o-katāñ nahīñ mā'lūm
kis aa.ine meñ nahīñ jalva-gar tirī timsāl
tujhe samajhte haiñ ham īn-o-āñ nahīñ mā'lūm
milā thā ḳhizr ko kis tarah chashma-e-haivāñ
hameñ to yaar kā apne dahāñ nahīñ mā'lūm
khulī hai ḳhāna-e-sayyād meñ hamārī aañkh
qafas ko jānte haiñ āshiyāñ nahīñ mā'lūm
tarīq-e-'ishq meñ dīvāna-vār phirtā huuñ
ḳhabar gaḌhe kī nahīñ hai kuaañ nahīñ mā'lūm
jo ho to shauq hī ho kū-e-yār kā haadī
kisī ko varna sabīl-e-jināñ nahīñ mā'lūm
dahan meñ aap ke albatta ham ko hujjat hai
kamar kā bhed jo pūchhūñ miyāñ nahīñ mā'lūm
nasīm-e-sub.h ne kaisā ye us ko bhaḌkāyā
hanūz ātish-e-gul kā dhuāñ nahīñ mā'lūm
suneñge vāqi'a us kā zabān-e-sausan se
shahīd kis kā hai ye arġhavāñ nahīñ mā'lūm
kanār-e-āb chale daur-e-jām yā lab-e-kisht
shikār hove bat-e-mai kahāñ nahīñ mā'lūm
rasā.ī jis kī nahīñ ai sanam dar-e-dil tak
yaqīñ hai us ko tirā āstāñ nahīñ mā'lūm
'ajab nahīñ hai jo ahl-e-suḳhan hoñ gosha-nashīñ
kisī dahan meñ zabāñ kā makāñ nahīñ mā'lūm
chhuTeñge ziist ke phande se kis din ai 'ātish'
janāza hogā kab apnā ravāñ nahīñ mā'lūm
chaman mein rahne de kaun aashiyan nahin ma'lum
nihaal kis ko kare baghban nahin ma'lum
mere sanam ka kisi ko makan nahin ma'lum
KHuda ka nam suna hai nishan nahin ma'lum
aKHir ho gae ghaflat mein din jawani ke
bahaar-e-umr hui kab KHizan nahin ma'lum
ye ishtiyaq-e-shahadat mein mahw tha dam-e-qatl
lage hain zaKHm badan par kahan nahin ma'lum
suna jo zikr-e-ilahi to us sanam ne kaha
'ayan ko jaante hain hum nihan nahin ma'lum
kiya hai kis ne tariq-e-suluk se aagah
murid kis ka hai pir-e-mughan nahin ma'lum
meri tarah to nahin us ko 'ishq ka aazar
ye zard rahti hai kyun zafaran nahin ma'lum
jahan o kar-e-jahan se hun be-KHabar main mast
zamin kidhar hai kahan aasman nahin ma'lum
supurd kis ke mere ba'd ho amanat-e-ishq
uThae kaun ye bar-e-giran nahin ma'lum
KHamosh aisa hua hun main kam-dimaghi se
dahan mein hai ki nahin hai zaban nahin ma'lum
meri tumhaari mohabbat hai shohra-e-afaq
kise haqiqat-e-mah-o-katan nahin ma'lum
kis aaine mein nahin jalwa-gar teri timsal
tujhe samajhte hain hum in-o-an nahin ma'lum
mila tha KHizr ko kis tarah chashma-e-haiwan
hamein to yar ka apne dahan nahin ma'lum
khuli hai KHana-e-sayyaad mein hamari aankh
qafas ko jaante hain aashiyan nahin ma'lum
tariq-e-'ishq mein diwana-war phirta hun
KHabar gaDhe ki nahin hai kuan nahin ma'lum
jo ho to shauq hi ho ku-e-yar ka hadi
kisi ko warna sabil-e-jinan nahin ma'lum
dahan mein aap ke albatta hum ko hujjat hai
kamar ka bhed jo puchhun miyan nahin ma'lum
nasim-e-subh ne kaisa ye us ko bhaDkaya
hanuz aatish-e-gul ka dhuan nahin ma'lum
sunenge waqi'a us ka zaban-e-sausan se
shahid kis ka hai ye arghawan nahin ma'lum
kanar-e-ab chale daur-e-jam ya lab-e-kisht
shikar howe bat-e-mai kahan nahin ma'lum
rasai jis ki nahin ai sanam dar-e-dil tak
yaqin hai us ko tera aastan nahin ma'lum
'ajab nahin hai jo ahl-e-suKHan hon gosha-nashin
kisi dahan mein zaban ka makan nahin ma'lum
chhuTenge zist ke phande se kis din ai 'atish'
janaza hoga kab apna rawan nahin ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.