chaman mein saba ke guzarne ka gham hai
chaman mein saba ke guzarne ka gham hai
Rana Khalid Mahmood Qaiser
MORE BYRana Khalid Mahmood Qaiser
chaman meñ sabā ke guzarne kā ġham hai
mujhe terī zulfeñ bikharne kā ġham hai
jise aarzū kah rahā hai zamāna
mujhe us kalī ke bikharne kā ġham hai
mujhe ġham nahīñ duub jaane kā apne
magar sar se paanī guzarne kā ġham hai
hazāroñ haiñ bāteñ magar phir tumhārā
koī baat kah kar mukarne kā ġham hai
tumheñ naaz zabt-e-alam par hai 'qaisar'
mujhe ashk āñkhoñ meñ bharne kā ġham hai
chaman mein saba ke guzarne ka gham hai
mujhe teri zulfen bikharne ka gham hai
jise aarzu kah raha hai zamana
mujhe us kali ke bikharne ka gham hai
mujhe gham nahin dub jaane ka apne
magar sar se pani guzarne ka gham hai
hazaron hain baaten magar phir tumhaara
koi baat kah kar mukarne ka gham hai
tumhein naz zabt-e-alam par hai 'qaisar'
mujhe ashk aankhon mein bharne ka gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.