chaman se KHushbuon ka istiara le gaya koi
chaman se ḳhushbuoñ kā isti.āra le gayā koī
hamāre gulsitāñ se rang saarā le gayā koī
hameñ jo raah dikhlātā thā jīvan ke añdheroñ meñ
hamāre āsmāñ se vo sitāra le gayā koī
bahut vīrān rahtā hai falak āñkhoñ kā ye jab se
churā kar us se us kā māh-pāra le gayā koī
bhalā ab zindagī meñ dekhne ko kyā rahā baaqī
jo bhātā thā hameñ vo har nazāra le gayā koī
lagegī paar kaise naav ab ye ḳhudā jaane
use mañjdhār meñ rakh kar kināra le gayā koī
badal detā thā jo meñDak ko ik raaja kī sūrat meñ
jahāñ se ab vo jaadū kā piTārā le gayā koī
dil-e-betāb ko 'madhuman' qarār aa.e bhī to kaise
sukūñ to chhīn kar ham se hamārā le gayā koī
chaman se KHushbuon ka istiara le gaya koi
hamare gulsitan se rang sara le gaya koi
hamein jo rah dikhlata tha jiwan ke andheron mein
hamare aasman se wo sitara le gaya koi
bahut viran rahta hai falak aankhon ka ye jab se
chura kar us se us ka mah-para le gaya koi
bhala ab zindagi mein dekhne ko kya raha baqi
jo bhata tha hamein wo har nazara le gaya koi
lagegi par kaise naw ab ye KHuda jaane
use manjdhaar mein rakh kar kinara le gaya koi
badal deta tha jo meinDak ko ek raja ki surat mein
jahan se ab wo jadu ka piTara le gaya koi
dil-e-betab ko 'madhuman' qarar aae bhi to kaise
sukun to chhin kar hum se hamara le gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.