chaman wala jo andaz-e-chaman ka qadr-dan rahta
chaman vaalā jo andāz-e-chaman kā qadr-dāñ rahtā
na phūloñ par jafā hotī na zad meñ āshiyāñ rahtā
bahāreñ muskurātīñ mehrbāñ gar bāġhbāñ rahtā
chaman kī Daalī Daalī par hamārā āshiyāñ rahtā
usūl-e-mai-kashī sab siikh letā jām-o-mīnā se
jo vaa.iz bhī sharīk-e-halqa-e-pīr-e-muġhāñ rahtā
chamak uThtā muqaddar saath detī nā-rasā qismat
jo firdaus-e-nazar ban kar kisī kā āstāñ rahtā
chalo achchhā huā dil ne har ik sūrat miTā Daalī
hujūm-e-shauq meñ kār-e-jahāñ bār-e-garāñ rahtā
bahal jaatā hai dil vīrānī-e-dasht-o-bayābāñ se
na hote ye manāzir to tirā vahshī kahāñ rahtā
mirī rangīñ bayānī lutf detī bazm-e-sāqī meñ
jo rahte ik taraf tum ik taraf pīr-e-muġhāñ rahtā
vatan ke TukḌe TukḌe karne vāloñ se koī pūchhe
tabāhī kyoñ ye aatī ek agar hindostāñ rahtā
mohabbat merī rusvā.ī kā baa.is ban ga.ī 'aslam'
bahut achchhā thā is se maiñ jo benām-o-nishāñ rahtā
chaman wala jo andaz-e-chaman ka qadr-dan rahta
na phulon par jafa hoti na zad mein aashiyan rahta
bahaaren muskuraatin mehrban gar baghban rahta
chaman ki Dali Dali par hamara aashiyan rahta
usul-e-mai-kashi sab sikh leta jam-o-mina se
jo waiz bhi sharik-e-halqa-e-pir-e-mughan rahta
chamak uThta muqaddar sath deti na-rasa qismat
jo firdaus-e-nazar ban kar kisi ka aastan rahta
chalo achchha hua dil ne har ek surat miTa Dali
hujum-e-shauq mein kar-e-jahan bar-e-garan rahta
bahal jata hai dil virani-e-dasht-o-bayaban se
na hote ye manazir to tera wahshi kahan rahta
meri rangin bayani lutf deti bazm-e-saqi mein
jo rahte ek taraf tum ek taraf pir-e-mughan rahta
watan ke TukDe TukDe karne walon se koi puchhe
tabahi kyon ye aati ek agar hindostan rahta
mohabbat meri ruswai ka bais ban gai 'aslam'
bahut achchha tha is se main jo benam-o-nishan rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.