chaman walo haqiqat humse batlai nahin jati
chaman vaalo haqīqat ham se batlā.ī nahīñ jaatī
guloñ ke dil pe jo biitī vo samjhā.ī nahīñ jaatī
chaman kā husn bil-āḳhir guloñ kī aabrū Thahrā
ye izzat shāh-rāh-e-ām pe laa.ī nahīñ jaatī
ġham-e-daurāñ kī uljhan ho ki vahshat ho mohabbat kī
shikasta dil kī hālat bar-zabāñ laa.ī nahīñ jaatī
are kam-zarf mai-noshī kā ye koī salīqa hai
sar-e-mahfil mai-e-gul-rañg chhalkā.ī nahīñ jaatī
sajā detā huuñ ḳhvāboñ ke dar-o-dīvār pe us ko
vo ik shai jo kisī sūrat se apnā.ī nahīñ jaatī
na pūchho kyā nigāh-e-nāz ne dil par asar chhoḌā
ġhazal ke sher meñ tāsīr vo laa.ī nahīñ jaatī
hujūm-e-shahr ho 'ārif' ki apne ghar kī ḳhalvat ho
nahīñ jaatī magar apnī ye tanhā.ī nahīñ jaatī
chaman walo haqiqat hum se batlai nahin jati
gulon ke dil pe jo biti wo samjhai nahin jati
chaman ka husn bil-aKHir gulon ki aabru Thahra
ye izzat shah-rah-e-am pe lai nahin jati
gham-e-dauran ki uljhan ho ki wahshat ho mohabbat ki
shikasta dil ki haalat bar-zaban lai nahin jati
are kam-zarf mai-noshi ka ye koi saliqa hai
sar-e-mahfil mai-e-gul-rang chhalkai nahin jati
saja deta hun KHwabon ke dar-o-diwar pe us ko
wo ek shai jo kisi surat se apnai nahin jati
na puchho kya nigah-e-naz ne dil par asar chhoDa
ghazal ke sher mein tasir wo lai nahin jati
hujum-e-shahr ho 'arif' ki apne ghar ki KHalwat ho
nahin jati magar apni ye tanhai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.