chaman walon ko raqsan-o-ghazal-KHwan le ke uTThi hai
chaman walon ko raqsan-o-ghazal-KHwan le ke uTThi hai
Suroor Barabankvi
MORE BYSuroor Barabankvi
chaman vāloñ ko raqsāñ-o-ġhazal-ḳhvāñ le ke uTThī hai
sabā ik ik se tā.īd-e-bahārāñ le ke uTThī hai
ruḳh-e-gul-e-rañg par ik shabnamistāñ le ke uTThī hai
ye kyā aalam tirī chashm-e-pashemāñ le ke uTThī hai
ye kis dāman kī hasrat hashm-e-giryāñ le ke uTThī hai
ki dil se jo bhī mauj uTThī hai tūfāñ le ke uTThī
girāñbārī se shāna ḳham huā jaatā hai hastī kā
na jaane zindagī kis kis kā ehsāñ le ke uTThī hai
'surūr' us bazm ke sadqe jahāñ par dil kī betābī
fasurda le ke aa.ī thī ġhazal-ḳhvāñ le ke uTThī hai
chaman walon ko raqsan-o-ghazal-KHwan le ke uTThi hai
saba ek ek se taid-e-bahaaran le ke uTThi hai
ruKH-e-gul-e-rang par ek shabnamistan le ke uTThi hai
ye kya aalam teri chashm-e-pasheman le ke uTThi hai
ye kis daman ki hasrat hashm-e-giryan le ke uTThi hai
ki dil se jo bhi mauj uTThi hai tufan le ke uTThi
giranbari se shana KHam hua jata hai hasti ka
na jaane zindagi kis kis ka ehsan le ke uTThi hai
'surur' us bazm ke sadqe jahan par dil ki betabi
fasurda le ke aai thi ghazal-KHwan le ke uTThi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.