chamke hue hain diwar-o-dar raunaq hai bazaron mein
chamke hue haiñ dīvār-o-dar raunaq hai bāzāroñ meñ
kaise kaise log aa.e haiñ kaisī kaisī caroñ meñ
maiñ to us ke sāmne baiThā us kā chehra paḌhtā thā
jaane vo kyā DhūñD rahā thā añgrezī aḳhbāroñ meñ
vo bhī din the jab har chhuTTī tere saath guzartī thī
aaj magar rakkhā hī kyā hai haftoñ aur itvāroñ meñ
jaane kis farhād kā tesha kis ke jigar ko chiir gayā
ḳhuun kī dhāreñ dekh rahā huuñ patthar kī dīvāroñ meñ
jin logoñ ke aql-o-hunar kī dhuum machī thī aalam meñ
un ko bhī dekhā hai rusvā shāhoñ ke darbāroñ meñ
phuul se chehre shāḳh sī bāñheñ jab galiyoñ meñ miltī haiñ
kaun bhalā phir sair ko jaa.e hare-bhare gulzāroñ meñ
to merī ma.asūm nazar ko bul-havasī kā dosh na de
maiñ to ḳhud ko dekh rahā huuñ tere hasīñ ruḳhsāroñ meñ
aao un ko bāhar lā kar taaza havā meñ biThlā.eñ
log chhupe baiThe haiñ kab se apnī zaat ke ġhāroñ meñ
ab ke to 'betāb' murī meñ kuchh kuchh aag barastī thī
jalte sahrā aa nikle the bhīge hue kohsāroñ meñ
chamke hue hain diwar-o-dar raunaq hai bazaron mein
kaise kaise log aae hain kaisi kaisi caron mein
main to us ke samne baiTha us ka chehra paDhta tha
jaane wo kya DhunD raha tha angrezi aKHbaron mein
wo bhi din the jab har chhuTTi tere sath guzarti thi
aaj magar rakkha hi kya hai hafton aur itwaron mein
jaane kis farhad ka tesha kis ke jigar ko chir gaya
KHun ki dhaaren dekh raha hun patthar ki diwaron mein
jin logon ke aql-o-hunar ki dhum machi thi aalam mein
un ko bhi dekha hai ruswa shahon ke darbaron mein
phul se chehre shaKH si banhen jab galiyon mein milti hain
kaun bhala phir sair ko jae hare-bhare gulzaron mein
to meri masum nazar ko bul-hawasi ka dosh na de
main to KHud ko dekh raha hun tere hasin ruKHsaron mein
aao un ko bahar la kar taza hawa mein biThlaen
log chhupe baiThe hain kab se apni zat ke ghaaron mein
ab ke to 'betab' muri mein kuchh kuchh aag barasti thi
jalte sahra aa nikle the bhige hue kohsaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.